Hum Ko Tasir-e-gham Se Marna Hai

hum ko tasir-e-gham se marna hai

ab isi rang mein nikharna hai

dil-e-muztar ka KHun karna hai

nala-e-gham mein dard bharna hai

zindagi kya hai sabr karna hai

KHun ka ghunT pi ke marna hai

jaan-nisari qubul ho ki na ho

hum ko apni si kar guzarna hai

husn ho ishq ho junun ho ki hosh

sab se begana dil ko karna hai

ab koi zahr de ki baada-e-nab

ek paimana hum ko bharna hai

dekh li hum ne ishq ki miras

is se aage bhi ab guzarna hai

mauj-e-dariya hain hum hamara kya

kabhi miTna kabhi ubharna hai

DhunDhta phirta hun nigah-e-KHulus

dil-e-murda ko zinda karna hai

samm-e-qatil 'jigar' nahin milta

dil ka qissa tamam karna hai

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Tasir-e-gham Se Marna Hai In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Hum Ko Tasir-e-gham Se Marna Hai is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Hum Ko Tasir-e-gham Se Marna Hai for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Hum Ko Tasir-e-gham Se Marna Hai in PDF.