Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati

maut jab tak nazar nahin aati

zindagi rah par nahin aati

tark-e-tadbir bhi nahin aasan

ras tadbir agar nahin aati

markaz-e-dil pe jo nahin qaem

wo nazar rah par nahin aati

dil ko lazzat-shanas-e-gham kar len

maut hum ko agar nahin aati

jis ne teri nazar ko dekh liya

us ko duniya nazar nahin aati

wo kabhi mehrban ho jata

aisi surat nazar nahin aati

jite ji ke hain sare hangame

mar ke phir kuchh KHabar nahin aati

aah kya ho gaya zamane ko

ab murawwat nazar nahin aati

hai unhen to waqar-e-ijz-o-niyaz

wo tamanna jo bar nahin aati

zindagi se nibahe jaenge

maut jab tak nazar nahin aati

ashk-e-paiham 'jigar' nahin thamte

rah par chashm-e-tar nahin aati

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Maut Jab Tak Nazar Nahin Aati in PDF.