Mohabbat Tum Se Hai Lekin Juda Hain
mohabbat tum se hai lekin juda hain
hasin ho tum to hum bhi parsa hain
hamein kya is se wo kaun aur kya hain
ye kya kam hai hasin hain dilruba hain
zamane mein kise fursat jo dekhe
suKHnawar kaun shai hain aur kya hain
miTate rahte hain hum apni hasti
ki aagah-e-mizaj-e-dilruba hain
na jaane darmiyan kaun aa gaya hai
na wo hum se na hum un se juda hain
kabhi ro ro ke sochegi ye duniya
abhi hum kya bataen aah kya hain
nahin banti hai kuchh bhi kahte sunte
ajab kuchh gu-magu mein mubtala hain
ye teri be-ruKHi ye sargirani
jiye jate hain jo hum be-haya hain
jigar banta nahin kuchh karte dharte
ki bilkul jaise hum be-dast-o-pa hain
(929) Peoples Rate This