Na KHum-o-subu Hue Chur Abhi Na Hijab-e-pir-e-mughan UTha
na KHum-o-subu hue chur abhi na hijab-e-pir-e-mughan uTha
abhi mast baada-parast hain abhi lutf-e-baada kahan uTha
jo huzur chin-ba-jabin hue kaha kis ne shor-e-fughan uTha
rahe KHair barq-e-nigah ki koi dil jala na dhuan uTha
ye kahe zamana jawan hai to qadam aisa mard-e-jawan uTha
jo na bar-e-ishq uTha sake to bala se tegh-o-sinan uTha
ye kahan bahaar-e-jamal hai ki jahan KHizan na zawal hai
teri bazm-e-naz se jo uTha wo hasin uTha wo jawan uTha
jo baDhe to jaan pe aa bane jo ghaTe to jaan pe aa bane
jise dil nasib se mil gaya ajab us ke dard-e-nihan uTha
kisi rahguzar mein paDe hain hum abas aasman ki hain ranjishen
koi lakh uThae uThenge kya kahin panw ka bhi nishan uTha
hai hijab-e-husn ka ye asar kisi KHud-parast ko kya KHabar
jo azal se sine mein josh tha wahi ban ke shor-e-fughan uTha
kisi mai-kada mein raha 'jigar' ki tha mahw-e-KHwab mein raat bhar
huin kya bashaaraten subh-dam ki uTha to zamzama-KHwan uTha
jo hue farishton mein mashware kare kaun ishq ki rah tai
kamar apni bandh ke jo uTha to 'jigar' sa mard-e-jawan uTha
(985) Peoples Rate This