Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum

nahin ki chaara-e-dard-e-nihan nahin malum

dil-e-hazin ko ho manzur han nahin malum

le aai hai hamein wahshat kahan nahin malum

sawad-e-dasht hai ya gulistan nahin malum

shahid-e-naz ki mayyat chale hain dafnane

magar hai kucha-e-jaanan kahan nahin malum

hazaron KHar chubhe hain hamare talwon mein

qadam hain kis liye ab bhi rawan nahin malum

subut-e-ishq mein hum jaan de to den lekin

yaqin bhi laega bad-guman nahin malum

azal se loTte angaron par hum aae hain

hai kab tak aur abhi imtihan nahin malum

ilaj kya karen hum aur kya bataen haal

kahin hai dard magar hai kahan nahin malum

jala dil aur hua rakh muddaten guzrin

ye ab uTha hai kahan se dhuan nahin malum

na jaane kaun si manzil pe hai ki gum hain hawas

dil-e-hazin hai kahan hum kahan nahin malum

chaman mein hum na KHas-o-KHar-e-ashiyan baqi

lapak rahi hain ye kyun bijliyan nahin malum

gham-o-malal se paya kabhi na dil ne faragh

qafas mila ki hamein aashiyan nahin malum

thi qaid-e-zist ki aaghosh-e-gham kisi ki 'jigar'

ye ruh jae nikal kar kahan nahin malum

kahan gae wo shab-o-roz aur wo mah-o-sal

kabhi 'jigar' bhi hue the jawan nahin malum

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Nahin Ki Chaara-e-dard-e-nihan Nahin Malum in PDF.