Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe

kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe

na jaane rahta hai phir kis ka intizar mujhe

har ek sans meri umr ko ghaTati hai

nafas ka tar hai goya kafan ka tar mujhe

meri bahaar ko mausam ka intizar nahin

koi jo hans ke mila mil gai bahaar mujhe

na be-qarar ho tu meri be-qarari par

taDap taDap ke KHud aa jaega qarar mujhe

ye dil ka aaina ab toDne ke qabil hai

dikhai deta nahin us mein ru-e-yar mujhe

kisi ke husn ki main ne bahaar dekhi hai

chaman ke phul dikhate hain kya bahaar mujhe

ye KHud-farebi hai meri ki KHud-faramoshi

na aane wale ka rahta hai intizar mujhe

mere wajud se harakat to hai zamane mein

agarche mauj ki surat nahin qarar mujhe

mere chaman hi se wabastagi hai donon ki

aziz kyun na hon phulon ke sath KHar mujhe

'jigar' ke KHun se aankhon mein surKH Dore hain

samajh raha hai zamana sharab-KHwar mujhe

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe In English By Famous Poet Jigar Jalandhari. Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe is written by Jigar Jalandhari. Read famous Poem Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe for youth and Student by Jigar Jalandhari. Free Download Kisi Se Rabt Nahin Hai Kisi Se Pyar Mujhe in PDF.