Aaj Kya Haal Hai Yarab Sar-e-mahfil Mera

aaj kya haal hai yarab sar-e-mahfil mera

ki nikale liye jata hai koi dil mera

soz-e-gham dekh na barbaad ho hasil mera

dil ki taswir hai har aaina-e-dil mera

subh tak hijr mein kya jaaniye kya hota hai

sham hi se mere qabu mein nahin dil mera

mil gai ishq mein iza-talabi se rahat

gham hai ab jaan meri dard hai ab dil mera

paya jata hai teri shoKHi-e-raftar ka rang

kash pahlu mein dhaDakta hi rahe dil mera

hae us mard ki qismat jo hua dil ka sharik

hae us dil ka muqaddar jo bana dil mera

kuchh khaTakta to hai pahlu mein mere rah rah kar

ab KHuda jaane teri yaad hai ya dil mera

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Kya Haal Hai Yarab Sar-e-mahfil Mera In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Aaj Kya Haal Hai Yarab Sar-e-mahfil Mera is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Aaj Kya Haal Hai Yarab Sar-e-mahfil Mera for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Aaj Kya Haal Hai Yarab Sar-e-mahfil Mera in PDF.