Aankhon Ka Tha Qusur Na Dil Ka Qusur Tha

aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha

aaya jo mere samne mera ghurur tha

tarik misl-e-ah jo aankhon ka nur tha

kya subh hi se sham-e-bala ka zuhur tha

wo the na mujh se dur na main un se dur tha

aata na tha nazar to nazar ka qusur tha

har waqt ek KHumar tha har dam surur tha

botal baghal mein thi ki dil-e-na-subur tha

koi to dardmand-e-dil-e-na-subur tha

mana ki tum na the koi tum sa zarur tha

lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu

milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha

aisa kahan bahaar mein ranginiyon ka josh

shamil kisi ka KHun-e-tamanna zarur tha

saqi ki chashm-e-mast ka kya kijiye bayan

itna surur tha ki mujhe bhi surur tha

palTi jo raste hi se ai aah-e-na-murad

ye to bata ki bab-e-asar kitni dur tha

jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya

us dil mein ek chhupa hua nashtar zarur tha

us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka

sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surur tha

dekha tha kal 'jigar' ko sar-e-rah-e-mai-kada

is darja pi gaya tha ki nashshe mein chur tha

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ka Tha Qusur Na Dil Ka Qusur Tha In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Aankhon Ka Tha Qusur Na Dil Ka Qusur Tha is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Aankhon Ka Tha Qusur Na Dil Ka Qusur Tha for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Aankhon Ka Tha Qusur Na Dil Ka Qusur Tha in PDF.