Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Sama Kar Chale Gae

aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae

KHwabida zindagi thi jaga kar chale gae

husn-e-azal ki shan dikha kar chale gae

ek waqia sa yaad dila kar chale gae

chehre tak aastin wo la kar chale gae

kya raaz tha ki jis ko chhupa kar chale gae

rag rag mein is tarah wo sama kar chale gae

jaise mujhi ko mujh se chura kar chale gae

meri hayat-e-ishq ko de kar junun-e-shauq

mujh ko tamam hosh bana kar chale gae

samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki

apni bulandiyan wo dikha kar chale gae

apne farogh-e-husn ki dikhla ke wusaten

mere hudud-e-shauq baDha kar chale gae

har shai ko meri KHatir-e-nashad ke liye

aaina-e-jamal bana kar chale gae

aae the dil ki pyas bujhane ke waste

ek aag si wo aur laga kar chale gae

aae the chashm-e-shauq ki hasrat nikalne

sar-ta-qadam nigah bana kar chale gae

ab karobar-e-ishq se fursat mujhe kahan

kaunain ka wo dard baDha kar chale gae

shukr-e-karam ke sath ye shikwa bhi ho qubul

apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gae

lab tharthara ke rah gae lekin wo ai 'jigar'

jate hue nigah mila kar chale gae

(1514) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Sama Kar Chale Gae In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Sama Kar Chale Gae is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Sama Kar Chale Gae for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Sama Kar Chale Gae in PDF.