Aaya Na Ras Nala-e-dil Ka Asar Mujhe

aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe

ab tum mile to kuchh nahin apni KHabar mujhe

dil le ke mujh se dete ho dagh-e-jigar mujhe

ye baat bhulne ki nahin umr bhar mujhe

har-su dikhai dete hain wo jalwa-gar mujhe

kya kya fareb deti hai meri nazar mujhe

milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe

bhuli hui na ho nigah-e-fitnagar mujhe

Dala hai be-KHudi ne ajab rah par mujhe

aankhen hain aur kuchh nahin aata nazar mujhe

karna hai aaj hazrat-e-naseh se samna

mil jae do ghaDi ko tumhaari nazar mujhe

mastana kar raha hun rah-e-ashiqi ko tai

le jae jazb-e-shauq mera ab jidhar mujhe

Darta hun jalwa-e-ruKH-e-jaanan ko dekh kar

apna bana na le kahin meri nazar mujhe

yaksan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rang

un ki KHabar unhen hai na meri KHabar mujhe

marna hai un ke panw pe rakh kar sar-e-niyaz

karna hai aaj qissa-e-gham muKHtasar mujhe

sine se dil aziz hai dil se ho tum aziz

sab se magar aziz hai teri nazar mujhe

main dur hun to ru-e-suKHan mujh se kis liye

tum pas ho to kyun nahin aate nazar mujhe

kya jaaniye qafas mein rahe kya moamla

ab tak to hain aziz mere baal-o-par mujhe

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Na Ras Nala-e-dil Ka Asar Mujhe In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Aaya Na Ras Nala-e-dil Ka Asar Mujhe is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Aaya Na Ras Nala-e-dil Ka Asar Mujhe for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Aaya Na Ras Nala-e-dil Ka Asar Mujhe in PDF.