Ab To Ye Bhi Nahin Raha Ehsas

ab to ye bhi nahin raha ehsas

dard hota hai ya nahin hota

ishq jab tak na kar chuke ruswa

aadmi kaam ka nahin hota

TuT paDta hai dafatan jo ishq

besh-tar der-pa nahin hota

wo bhi hota hai ek waqt ki jab

ma-siwa ma-siwa nahin hota

hae kya ho gaya tabiat ko

gham bhi rahat-faza nahin hota

dil hamara hai ya tumhaara hai

hum se ye faisla nahin hota

jis pe teri nazar nahin hoti

us ki jaanib KHuda nahin hota

main ki be-zar umr bhar ke liye

dil ki dam-bhar juda nahin hota

wo hamare qarib hote hain

jab hamara pata nahin hota

dil ko kya kya sukun hota hai

jab koi aasra nahin hota

ho ke ek bar samna un se

phir kabhi samna nahin hota

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Ye Bhi Nahin Raha Ehsas In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ab To Ye Bhi Nahin Raha Ehsas is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ab To Ye Bhi Nahin Raha Ehsas for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ab To Ye Bhi Nahin Raha Ehsas in PDF.