Agar Na Zohra-jabinon Ke Darmiyan Guzre

agar na zohra-jabinon ke darmiyan guzre

to phir ye kaise kaTe zindagi kahan guzre

jo tere aariz o gesu ke darmiyan guzre

kabhi kabhi wahi lamhe bala-e-jaan guzre

mujhe ye wahm raha muddaton ki jurat-e-shauq

kahin na KHatir-e-masum par giran guzre

har ek maqam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha

magar hum ahl-e-mohabbat kashan kashan guzre

junun ke saKHt marahil bhi teri yaad ke sath

hasin hasin nazar aae jawan jawan guzre

meri nazar se teri justuju ke sadqe mein

ye ek jahan hi nahin sainkaDon jahan guzre

hujum-e-jalwa mein parwaz-e-shauq kya kahna

ki jaise ruh sitaron ke darmiyan guzre

KHata-muaf zamane se bad-guman ho kar

teri wafa pe bhi kya kya hamein guman guzre

mujhe tha shikwa-e-hijran ki ye hua mahsus

mere qarib se ho kar wo na-gahan guzre

rah-e-wafa mein ek aisa maqam bhi aaya

ki hum KHud apni taraf se bhi bad-guman guzre

KHulus jis mein ho shamil wo daur-e-ishq-o-hawas

na raegan kabhi guzra na raegan guzre

usi ko kahte hain jannat usi ko dozaKH bhi

wo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre

bahut hasin manazir bhi husn-e-fitrat ke

na jaane aaj tabiat pe kyun giran guzre

wo jin ke sae se bhi bijliyan larazti thin

meri nazar se kuchh aise bhi aashiyan guzre

mera to farz chaman-bandi-e-jahan hai faqat

meri bala se bahaar aae ya KHizan guzre

kahan ka husn ki KHud ishq ko KHabar na hui

rah-e-talab mein kuchh aise bhi imtihan guzre

bhari bahaar mein taraji-e-chaman mat puchh

KHuda kare na phir aankhon se wo saman guzre

koi na dekh saka jin ko wo dilon ke siwa

muamlat kuchh aise bhi darmiyan guzre

kabhi kabhi to isi ek musht-e-KHak ke gird

tawaf karte hue haft aasman guzre

bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar

wo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre

abhi se tujh ko bahut nagawar hain hamdam

wo hadsat jo ab tak rawan-dawan guzre

jinhen ki dida-e-shair hi dekh sakta hai

wo inqilab tere samne kahan guzre

bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad 'jigar'

wo hadsat-e-mohabbat jo na-gahan guzre

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Na Zohra-jabinon Ke Darmiyan Guzre In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Agar Na Zohra-jabinon Ke Darmiyan Guzre is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Agar Na Zohra-jabinon Ke Darmiyan Guzre for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Agar Na Zohra-jabinon Ke Darmiyan Guzre in PDF.