Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai

ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai

tujh se ziyaada dard tera kaamyab hai

aashiq ki be-dili ka taghaful nahin jawab

us ka bas ek josh-e-mohabbat jawab hai

teri inayaten ki nahin nazr-e-jaan qubul

teri nawazishen ki zamana KHarab hai

ai husn apni hausla-afzaiyan to dekh

mana ki chashm-e-shauq bahut be-hijab hai

main ishq-e-be-niyaz hun tum husn-e-be-panah

mera jawab hai na tumhaara jawab hai

mai-KHana hai usi ka ye duniya usi ki hai

jis tishna-lab ke hath mein jam-e-sharab hai

us se dil-e-tabah ki rudad kya kahun

jo ye na sun sake ki zamana KHarab hai

ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk

zalim sharab hai are zalim sharab hai

apne hudud se na baDhe koi ishq mein

jo zarra jis jagah hai wahin aaftab hai

wo lakh samne hon magar is ka kya ilaj

dil manta nahin ki nazar kaamyab hai

meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar

phir bhi tera shabab tera hi shabab hai

manus-e-e'tibar-e-karam kyun kiya mujhe

ab har KHata-e-shauq isi ka jawab hai

main us ka aaina hun wo hai mera aaina

meri nazar se us ki nazar kaamyab hai

tanhai-e-firaq ke qurban jaiye

main hun KHayal-e-yar hai chashm-e-pur-ab hai

sarmaya-e-firaq 'jigar' aah kuchh na puchh

ab jaan hai so apne liye KHud azab hai

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ai Husn-e-yar Sharm Ye Kya Inqalab Hai in PDF.