Allah Agar Taufiq Na De Insan Ke Bas Ka Kaam Nahin

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin

ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin

tu fikr o nazar to paida kar kya chiz hai jo inam nahin

ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakaam nahin

taskin hai aur taskin nahin aaram hai aur aaram nahin

kyun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tawajjoh farmaen

aawaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaz-e-shikast-e-jam nahin

aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-KHudi ko toD ke aa

ai hosh-o-KHirad ke diwane yan hosh-o-KHirad ka kaam nahin

zahid ne kuchh is andaz se pi saqi ki nigahen paDne lagin

mai-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin

ishq aur gawara KHud kar le be-shart shikast-e-fash apni

dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin

sab jis ko asiri kahte hain wo to hai amiri hi lekin

wo kaun si aazadi hai yahan jo aap KHud apna dam nahin

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Allah Agar Taufiq Na De Insan Ke Bas Ka Kaam Nahin In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Allah Agar Taufiq Na De Insan Ke Bas Ka Kaam Nahin is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Allah Agar Taufiq Na De Insan Ke Bas Ka Kaam Nahin for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Allah Agar Taufiq Na De Insan Ke Bas Ka Kaam Nahin in PDF.