Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai

dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai

baat bigDi thi kuchh aisi ki banai na gai

sab ko hum bhul gae josh-e-junun mein lekin

ek teri yaad thi aisi jo bhulai na gai

ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qabu

us ne jo aag laga di wo bujhai na gai

paD gaya husn-e-ruKH-e-yar ka partaw jis par

KHak mein mil ke bhi is dil ki safai na gai

kya uThaegi saba KHak meri us dar se

ye qayamat to KHud un se bhi uThai na gai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Dastan-e-gham-e-dil Un Ko Sunai Na Gai in PDF.