Dil Gaya Raunaq-e-hayat Gai

dil gaya raunaq-e-hayat gai

gham gaya sari kaenat gai

dil dhaDakte hi phir gai wo nazar

lab tak aai na thi ki baat gai

din ka kya zikr tira-baKHton mein

ek raat aai ek raat gai

teri baaton se aaj to waiz

wo jo thi KHwahish-e-najat gai

un ke bahlae bhi na bahla dil

raegan sai-e-iltifat gai

marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin

ek masiha-nafas ki baat gai

ab junun aap hai gareban-gir

ab wo rasm-e-takallufat gai

hum ne bhi waz-e-gham badal Dali

jab se wo tarz-e-iltifat gai

tark-e-ulfat bahut baja naseh

lekin us tak agar ye baat gai

han maze luT le jawani ke

phir na aaegi ye jo raat gai

han ye sarshaariyan jawani ki

aankh jhapki hi thi ki raat gai

jalwa-e-zat ai maaz-allah

tab-e-aina-e-sifat gai

nahin milta mizaj-e-dil hum se

ghaaliban dur tak ye baat gai

qaid-e-hasti se kab najat 'jigar'

maut aai agar hayat gai

(1215) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Gaya Raunaq-e-hayat Gai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Dil Gaya Raunaq-e-hayat Gai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Dil Gaya Raunaq-e-hayat Gai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Dil Gaya Raunaq-e-hayat Gai in PDF.