Dil Ko MiTa Ke Dagh-e-tamanna Diya Mujhe

dil ko miTa ke dagh-e-tamanna diya mujhe

ai ishq teri KHair ho ye kya diya mujhe

mahshar mein baat bhi na zaban se nikal saki

kya jhuk ke us nigah ne samjha diya mujhe

main aur aarzu-e-visal-e-pari-ruKHan

is ishq-e-sada-lauh ne bahka diya mujhe

har bar yas hijr mein dil ki hui sharik

har martaba umid ne dhoka diya mujhe

allah re tegh-e-ishq ki barham-mazahiyan

mere hi KHun-e-shauq mein nahla diya mujhe

KHush hun ki husn-e-yar ne KHud apne hath se

ek dil-fareb dagh-e-tamanna diya mujhe

duniya se kho chuka hai mera josh-e-intizar

aawaz-e-pa-e-yar ne chaunka diya mujhe

dawa kiya tha zabt-e-mohabbat ka ai 'jigar'

zalim ne baat baat pe taDpa diya mujhe

(1114) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko MiTa Ke Dagh-e-tamanna Diya Mujhe In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Dil Ko MiTa Ke Dagh-e-tamanna Diya Mujhe is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Dil Ko MiTa Ke Dagh-e-tamanna Diya Mujhe for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Dil Ko MiTa Ke Dagh-e-tamanna Diya Mujhe in PDF.