Fikr-e-manzil Hai Na Hosh-e-jada-e-manzil Mujhe

fikr-e-manzil hai na hosh-e-jada-e-manzil mujhe

ja raha hun jis taraf le ja raha hai dil mujhe

ab zaban bhi de ada-e-shukr ke qabil mujhe

dard baKHsha hai agar tu ne bajae-dil mujhe

yun taDap kar dil ne taDpaya sar-e-mahfil mujhe

us ko qatil kahne wale kah uThe qatil mujhe

ab kidhar jaun bata ai jazba-e-kaamil mujhe

har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe

rok sakti ho to baDh kar rok le manzil mujhe

har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe

jaan di ki hashr tak main hun meri tanhaiyan

han mubarak fursat-e-nazzara-e-qatil mujhe

har ishaare par hai phir bhi gardan-e-taslim KHam

jaanta hun saf dhoke de raha hai dil mujhe

ja bhi ai naseh kahan ka sud aur kaisa ziyan

ishq ne samjha diya hai ishq ka hasil mujhe

main azal se subh-e-mahshar tak farozan hi raha

husn samjha tha charagh-e-kushta-e-mahfil mujhe

KHun-e-dil rag rag mein jam kar rah gaya is wahm se

baDh ke sine se na lipTa le mera qatil mujhe

kaisa qatra kaisa dariya kis ka tufan kis ki mauj

tu jo chahe to Dubo de KHushki-e-sahil mujhe

phunk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phunk de

ab samajhti hain wo nazren rahm ke qabil mujhe

toD kar baiTha hun rah-e-shauq mein pa-e-talab

dekhna hai jazba-e-be-tabi-e-manzil mujhe

ai hujum-e-na-umidi shad-bash-o-zinda-bash

tu ne sab se kar diya begana-o-ghafil mujhe

dard-e-mahrumi sahi ehsas-e-nakaami sahi

us ne samjha to bahar-surat kisi qabil mujhe

ye bhi kya manzar hai baDhte hain na rukte hain qadam

tak raha hun dur se manzil ko main manzil mujhe

(1642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-e-manzil Hai Na Hosh-e-jada-e-manzil Mujhe In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Fikr-e-manzil Hai Na Hosh-e-jada-e-manzil Mujhe is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Fikr-e-manzil Hai Na Hosh-e-jada-e-manzil Mujhe for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Fikr-e-manzil Hai Na Hosh-e-jada-e-manzil Mujhe in PDF.