Ek Lafz-e-mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai

ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai

jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai

dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai

dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai

hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai

rone ko nahin koi hansne ko zamana hai

wo aur wafa-dushman manenge na mana hai

sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai

shaer hun main shaer hun mera hi zamana hai

fitrat mera aaina qudrat mera shana hai

jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai

apni hi musibat hai apna hi fasana hai

kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai

hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai

aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai

ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai

aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain

nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai

hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan

ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai

ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se

kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai

ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha

aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai

thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti

aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai

ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije

ek aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai

KHud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna

jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai

taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan

ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai

ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna

jine ki tamanna hai marne ka zamana hai

mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna

ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai

KHuddari-o-mahrumi mahrumi-o-KHuddari

ab dil ko KHuda rakkhe ab dil ka zamana hai

ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein

masum mohabbat ka masum fasana hai

aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin

bandh jae so moti hai rah jae so dana hai

(2076) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Lafz-e-mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ek Lafz-e-mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ek Lafz-e-mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ek Lafz-e-mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai in PDF.