Ehsas-e-ashiqi Ne Begana Kar Diya Hai

ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai

yun bhi kisi ne aksar diwana kar diya hai

ab kya ummid rakkhun ai husn-e-yar tujh se

tu ne to muskura kar diwana kar diya hai

tujh se KHuda hi samjhe tu ne kisi ko ai dil

mujh se bhi kuchh ziyaada diwana kar diya hai

phir us ke dekhne ko aankhen taras rahi hain

yaadash ba-KHair jis ne diwana kar diya hai

mujh ko junun se apne shikwa jo hai to ye hai

meri mohabbaton ko afsana kar diya hai

ai husn-e-roz afzun umrat daraaz baad

donon jahan se mujh ko begana kar diya hai

jab dil mein aa gaya hai ek jumbish-e-nazar ne

diwana kah diya diwana kar diya hai

mujh se hi puchhte hain ye shoKHiyan to dekho

mere 'jigar' ko kis ne diwana kar diya hai

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehsas-e-ashiqi Ne Begana Kar Diya Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ehsas-e-ashiqi Ne Begana Kar Diya Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ehsas-e-ashiqi Ne Begana Kar Diya Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ehsas-e-ashiqi Ne Begana Kar Diya Hai in PDF.