Ishq Hi Tanha Nahin Shorida-sar Mere Liye

ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye

husn bhi betab hai aur kis qadar mere liye

han mubarak ab hai mearaj-e-nazar mere liye

jis qadar wo dur-tar nazdik-tar mere liye

khel hai bazicha-e-sham-o-sahar mere liye

do gul-e-bazi hain ye shams o qamar mere liye

waqf hai sayyaad ki ek ek nazar mere liye

han mubarak ye shikast-e-baal-o-par mere liye

garm hai hangama-e-sham-o-sahar mere liye

raat din gardish mein hain shams o qamar mere liye

main hun wahshi aah kis sahra-e-afat-KHez ka

hai gul-e-virana bhi begana-tar mere liye

us maqam-e-ishq mein hun marhaba ai be-KHudi

zarra zarra hai jahan garm-e-safar mere liye

jazb ho kar rah gaya hun main jamal-e-dost mein

ishq hai tabinda-tar painda-tar mere liye

main nahin kahta ki main hun tu ho teri KHalwaten

han magar sab se juda KHas ek nazar mere liye

allah allah main bhi kya nazuk-dimagh-e-ishq hun

nikhat-e-gul bhi hai wajh-e-dard-e-sar mere liye

phir bhi aankhen DhunDhti hain ek sarapa naz ko

main ne mana kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye

rah-raw-e-rah-e-talab ko KHizr ki hajat nahin

zarra zarra hai charagh-e-rah-guzar mere liye

apne dil mein juz tere main bhi sama sakta nahin

mera har har sans hai zanjir-e-dar mere liye

mujh ko jannat hi jo duniya hai to ya-rab baKHsh de

bas yahi daman-e-tar chashman-e-tar mere liye

tark-e-mai se aur bhi main to sharabi ban gaya

roz aa jata hai mina-e-sahar mere liye

jis ne zahid se bhi kafir ke uDa Dale hain hosh

us se bhi kuchh aur saqi tez-tar mere liye

wo mera saghar-ba-kaf hona pashemani ke sath

abr-e-rahmat ka wo uThna jhum kar mere liye

kal shab-e-mahtab mein ek bulbul-e-afat-nawa

markaz-e-gham ban raha tha raat bhar mere liye

na-gahan lab-ha-e-barg-e-gul se ye aai nida

nale karta hai abas ai be-KHabar mere liye

main bhi hun apni jagah KHunin-jigar KHunin-kafan

tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye

bas ye sunna tha ki pa-e-gul pe gir kar mar miTa

ban gaya ek naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye

zindagi ek tohmat-e-beja hai meri zat par

maut ek ilzam-e-na-jaez 'jigar' mere liye

main to har haalat mein KHush hun lekin us ka kya ilaj

DabDaba aati hain wo aankhen 'jigar' mere liye

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hi Tanha Nahin Shorida-sar Mere Liye In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ishq Hi Tanha Nahin Shorida-sar Mere Liye is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ishq Hi Tanha Nahin Shorida-sar Mere Liye for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ishq Hi Tanha Nahin Shorida-sar Mere Liye in PDF.