Ishq Ki Dastan Hai Pyare

ishq ki dastan hai pyare

apni apni zaban hai pyare

kal tak ai dard ye tapak na tha

aaj kyun mehrban hai pyare

saya-e-ishq se KHuda hi bachae

ek hi qahr man hai pyare

is ko kya kijiye jo lab na khulen

yun to munh mein zaban hai pyare

ye taghaful bhi hai nigah-amez

is mein bhi ek shan hai pyare

jis ne ai dil diya hai apna gham

us se tu bad-guman hai pyare

dil ka aalam nigah kya jaane

ye to sirf ek zaban hai pyare

mere ashkon mein ehtimam na dekh

aashiqi ki zaban hai pyare

hum zamane se intiqam to len

ek hasin darmiyan hai pyare

ishq ki ek ek nadani

ilm-o-hikmat ki jaan hai pyare

tu nahin main hun main nahin tu hai

ab kuchh aisa guman hai pyare

kahne sunne mein jo nahin aati

wo bhi ek dastan hai pyare

rakh qadam phunk phunk kar nadan

zarre zarre mein jaan hai pyare

kis ko dekhe se dil ko choT lagi

kyun ye utri kaman hai pyare

teri barham-KHiramiyon ki qasam

dil bahut saKHt jaan hai pyare

han tere ahd mein 'jigar' ke siwa

har koi shadman hai pyare

(1350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Dastan Hai Pyare In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ishq Ki Dastan Hai Pyare is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ishq Ki Dastan Hai Pyare for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ishq Ki Dastan Hai Pyare in PDF.