Ishq Ko Be-naqab Hona Tha

ishq ko be-naqab hona tha

aap apna jawab hona tha

mast-e-jam-e-sharab hona tha

be-KHud-e-iztirab hona tha

teri aankhon ka kuchh qusur nahin

han mujhi ko KHarab hona tha

aao mil jao muskura ke gale

ho chuka jo itab hona tha

kucha-e-ishq mein nikal aaya

jis ko KHana-KHarab hona tha

mast-e-jam-e-sharab KHak hote

gharq-e-jam-e-sharab hona tha

dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang

us ko sada kitab hona tha

hum ne nakaamiyon ko DhunD liya

aaKHirash kaamyab hona tha

hae wo lamha-e-sukun ki jise

mahshar-e-iztirab hona tha

nigah-e-yar KHud taDap uThti

shart-e-awwal KHarab hona tha

kyun na hota sitam bhi be-payan

karam-e-be-hisab hona tha

kyun nazar hairaton mein Dub gai

mauj-e-sad-iztirab hona tha

ho chuka roz-e-awwalin hi 'jigar'

jis ko jitna KHarab hona tha

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Be-naqab Hona Tha In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ishq Ko Be-naqab Hona Tha is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ishq Ko Be-naqab Hona Tha for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ishq Ko Be-naqab Hona Tha in PDF.