Ishq Mein La-jawab Hain Hum Log

ishq mein la-jawab hain hum log

mahtab aaftab hain hum log

garche ahl-e-sharab hain hum log

ye na samjho KHarab hain hum log

sham se aa gae jo pine par

subh tak aaftab hain hum log

hum ko dawa-e-ishq-bazi hai

mustahiqq-e-azab hain hum log

naz karti hai KHana-virani

aise KHana-KHarab hain hum log

hum nahin jaante KHizan kya hai

kushtagan-e-shabab hain hum log

tu hamara jawab hai tanha

aur tera jawab hain hum log

tu hai dariya-e-husn-o-mahbubi

shakl-e-mauj-o-hubab hain hum log

go sarapa hijab hain phir bhi

tere ruKH ki naqab hain hum log

KHub hum jaante hain apni qadr

tere na-kaamyab hain hum log

hum se ghaflat na ho to phir kya ho

rah-raw-e-mulk-e-KHwab hain hum log

jaanta bhi hai us ko tu waiz

jis ke mast-o-KHarab hain hum log

hum pe nazil hua sahifa-e-ishq

sahiban-e-kitab hain hum log

har haqiqat se jo guzar jaen

wo sadaqat-maab hain hum log

jab mili aankh hosh kho baiThe

kitne hazir-jawab hain hum log

hum se puchho 'jigar' ki sar-masti

mahram-e-an-janab hain hum log

(1137) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein La-jawab Hain Hum Log In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ishq Mein La-jawab Hain Hum Log is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ishq Mein La-jawab Hain Hum Log for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ishq Mein La-jawab Hain Hum Log in PDF.