Ishq-e-la-mahdud Jab Tak Rahnuma Hota Nahin

ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin

zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin

be-karan hota nahin be-intiha hota nahin

qatra jab tak baDh ke qulzum-ashna hota nahin

us se baDh kar dost koi dusra hota nahin

sab juda ho jaen lekin gham juda hota nahin

zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa

maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin

kaun ye naseh ko samjhae ba-tarz-e-dil-nashin

ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin

dard se mamur hoti ja rahi hai kaenat

ek dil-e-insan magar dard-ashna hota nahin

mere arz-e-gham pe wo kahna kisi ka hae hae

shikwa-e-gham shewa-e-ahl-e-wafa hota nahin

us maqam-e-qarb tak ab ishq pahuncha hi jahan

dida-o-dil ka bhi aksar wasta hota nahin

har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj

ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin

allah allah ye kamal aur irtibaat-e-husn-o-ishq

fasle hon lakh dil se dil juda hota nahin

kya qayamat hai ki is daur-e-taraqqi mein 'jigar'

aadmi se aadmi ka haq ada hota nahin

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq-e-la-mahdud Jab Tak Rahnuma Hota Nahin In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ishq-e-la-mahdud Jab Tak Rahnuma Hota Nahin is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ishq-e-la-mahdud Jab Tak Rahnuma Hota Nahin for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ishq-e-la-mahdud Jab Tak Rahnuma Hota Nahin in PDF.