KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai

KHusha bedad KHun-e-hasrat-e-bedad hota hai

sitam ijad karte ho karam ijad hota hai

ba-zahir kuchh nahin kahte magar irshad hota hai

hum us ke hain jo hum par har tarah barbaad hota hai

mere nashad rahne par wo jab nashad hota hai

bataun kya jo mera aalam-e-fariyaad hota hai

yahi hai raaz-e-azadi jahan tak yaad hota hai

ki nazren qaid hoti hain to dil aazad hota hai

dil-e-ashiq bhi kya majmua-e-azdad hota hai

udhar aabaad hota hai idhar barbaad hota hai

wo har ek waqia jo surat-e-uftad hota hai

kabhi pahle bhi dekha tha kuchh aisa yaad hota hai

baDi mushkil se paida ek wo aadam-zad hota hai

jo KHud aazad jis ka har nafas aazad hota hai

nigahen kya ki pahron dil bhi waqif ho nahin sakta

zaban-e-husn se aisa bhi kuchh irshad hota hai

tumhin ho tana-zan mujh par tumhin insaf se kah do

koi apni KHushi se KHanaman-barbaad hota hai

ye mana nang-e-pabandi se kya aazad ko matlab

magar wo sharm-e-azadi se bhi aazad hota hai

tasawwur mein hai kuchh aisa teri taswir ka aalam

ki jaise ab lab-e-nazuk se kuchh irshad hota hai

koi had hi nahin shayad mohabbat ke fasane ki

sunata ja raha hai jis ko jitna yaad hota hai

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download KHusha Bedad KHun-e-hasrat-e-bedad Hota Hai in PDF.