Kisi Surat Numud-e-soz-e-pinhani Nahin Jati
kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati
bujha jata hai dil chehre ki tabani nahin jati
nahin jati kahan tak fikr-e-insani nahin jati
magar apni haqiqat aap pahchani nahin jati
nigahon ko KHizan-na-ashna banna to aa jae
chaman jab tak chaman hai jalwa-samani nahin jati
pashiman-e-sitam wo dil hi dil mein rahte hain lekin
KHusha husne ki tarz-e-na-pashimani nahin jati
mizaj-e-ahl-e-dil be-kaif-o-masti rah nahin sakta
ki jaise nikhat-e-gul se pareshani nahin jati
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz
haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati
bulandi chahiye insan ki fitrat mein poshida
koi ho bhes lekin shan-e-sultani nahin jati
gae wo din ki dil sarmaya-dar-e-dard-e-paiham tha
magar aankhon ki ab tak mir-samani nahin jati
jise raunaq tere qadmon ne de kar chhin li raunaq
wo lakh aabaad ho us ghar ki virani nahin jati
wo yun dil se guzarte hain ki aahaT tak nahin hoti
wo yun aawaz dete hain ki pahchani nahin jati
mujhe to kar diya sairab saqi ne mere lekin
meri sairabiyon ki tishna-samani nahin jati
nahin malum kis aalam mein husn-e-yar dekha tha
koi aalam ho lekin dil ki hairani nahin jati
jale jate hain baDh baDh kar miTe jate hain gir gir kar
huzur-e-shama parwanon ki nadani nahin jati
mohabbat mein ek aisa waqt bhi dil par guzarta hai
ki aansu KHushk ho jate hain tughyani nahin jati
'jigar' wo bhi ze-sar-ta-pa mohabbat hi mohabbat hain
magar un ki mohabbat saf pahchani nahin jati
(1541) Peoples Rate This