Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai

kya barabar ka mohabbat mein asar hota hai

dil idhar hota hai zalim na udhar hota hai

hum ne kya kuchh na kiya dida-e-dil ki KHatir

log kahte hain duaon mein asar hota hai

dil to yun dil se milaya ki na rakkha mera

ab nazar ke liye kya hukm-e-nazar hota hai

main gunahgar-e-junun main ne ye mana lekin

kuchh udhar se bhi taqaza-e-nazar hota hai

kaun dekhe use betab-e-mohabbat ai dil

tu wo nale hi na kar jin mein asar hota hai

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Kya Barabar Ka Mohabbat Mein Asar Hota Hai in PDF.