Naqab-e-husn-e-do-alam UThai Jati Hai

naqab-e-husn-e-do-alam uThai jati hai

mujhi ko meri tajalli dikhai jati hai

qadam qadam meri himmat baDhai jati hai

nafas nafas teri aahaT si pai jati hai

wo ek nazar jo ba-mushkil uThai jati hai

wahi nazar rag-o-pai mein samai jati hai

sukun hai maut yahan zauq-e-jushtuju ke liye

ye tishnagi wo nahin jo bujhai jati hai

KHuda wo dard-e-mohabbat har ek ko baKHshe

ki jis mein ruh ki taskin bhi pai jati hai

wo mai-kada hai teri anjuman KHuda rakkhe

jahan KHayal se pahle pilai jati hai

tere huzur ye kya wardat-e-qalb hai aaj

ki jaise chand pe badli si chhai jati hai

tujhe KHabar ho to itni na fursat-e-gham de

ki teri yaad bhi aksar satai jati hai

wo chiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko

kabhi kabhi teri aankhon mein pai jati hai

qarib manzil-e-aKHir hai al-firaq 'jigar'

safar tamam hua nind aai jati hai

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqab-e-husn-e-do-alam UThai Jati Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Naqab-e-husn-e-do-alam UThai Jati Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Naqab-e-husn-e-do-alam UThai Jati Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Naqab-e-husn-e-do-alam UThai Jati Hai in PDF.