Nazar Mila Ke Mere Pas Aa Ke LuT Liya

nazar mila ke mere pas aa ke luT liya

nazar haTi thi ki phir muskura ke luT liya

shikast-e-husn ka jalwa dikha ke luT liya

nigah nichi kiye sar jhuka ke luT liya

duhai hai mere allah ki duhai hai

kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke luT liya

salam us pe ki jis ne uTha ke parda-e-dil

mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke luT liya

unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe

wo ek dil jise sab kuchh luTa ke luT liya

yahan to KHud teri hasti hai ishq ko darkar

wo aur honge jinhen muskura ke luT liya

KHusha wo jaan jise di gai amanat-e-ishq

rahe wo dil jise apna bana ke luT liya

nigah Dal di jis par hasin aankhon ne

use bhi husn-e-mujassam bana ke luT liya

baDe wo aae dil o jaan ke luTne wale

nazar se chheD diya gudguda ke luT liya

raha KHarab-e-mohabbat hi wo jise tu ne

KHud apna dard-e-mohabbat dikha ke luT liya

koi ye luT to dekhe ki us ne jab chaha

tamam hasti-e-dil ko jaga ke luT liya

karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba

mera hi aaina mujh ko dikha ke luT liya

na luTte hum magar un mast ankhDiyon ne 'jigar'

nazar bachate hue DabDaba ke luT liya

(1026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Mila Ke Mere Pas Aa Ke LuT Liya In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Nazar Mila Ke Mere Pas Aa Ke LuT Liya is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Nazar Mila Ke Mere Pas Aa Ke LuT Liya for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Nazar Mila Ke Mere Pas Aa Ke LuT Liya in PDF.