Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun

nigahon ka markaz bana ja raha hun

mohabbat ke hathon luTa ja raha hun

main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya

azal se abad tak baha ja raha hun

mubarak mubarak meri ye fanaen

do-alam pe chhaya chala ja raha hun

wahi husn jis ke hain ye sab mazahir

usi husn mein hal hua ja raha hun

ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko

main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun

na jaane kahan se na jaane kidhar ko

bas ek apni dhun mein uDa ja raha hun

mujhe rok sakta ho koi to roke

ki chhup kar nahin barmala ja raha hun

mere pas aao ye kya samne hun

meri samt dekho ye kya ja raha hun

nigahon mein manzil meri phir rahi hai

yunhi girta paDta chala ja raha hun

teri mast nazren ghazab Dha rahi hain

ye aalam hai jaise uDa ja raha hun

kidhar hai tu ai ghairat-e-husn KHud mein

mohabbat ke hathon bika ja raha hun

na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti

jidhar chal paDa hun chala ja raha hun

na surat na mani na paida na pinhan

ye kis husn mein gum hua ja raha hun

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Nigahon Ka Markaz Bana Ja Raha Hun in PDF.