Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain

niyaz o naz ke jhagDe miTae jate hain

hum un mein aur wo hum mein samae jate hain

shuru-e-rah-e-mohabbat are maaz-allah

ye haal hai ki qadam Dagmagae jate hain

ye naz-e-husn to dekho ki dil ko taDpa kar

nazar milate nahin muskurae jate hain

mere junun-e-tamanna ka kuchh KHayal nahin

lajae jate hain daman chhuDae jate hain

jo dil se uThte hain shole wo rang ban ban kar

tamam manzar-e-fitrat pe chhae jate hain

main apni aah ke sadqe ki meri aah mein bhi

teri nigah ke andaz pae jate hain

rawan dawan liye jati hai aarzu-e-visal

kashan kashan tere nazdik aae jate hain

kahan manazil-e-hasti kahan hum ahl-e-fana

abhi kuchh aur ye tohmat uThae jate hain

meri talab bhi usi ke karam ka sadqa hai

qadam ye uThte nahin hain uThae jate hain

ilahi tark-e-mohabbat bhi kya mohabbat hai

bhulate hain unhen wo yaad aae jate hain

sunae the lab-e-nai se kisi ne jo naghme

lab-e-'jigar' se mukarrar sunae jate hain

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Niyaz O Naz Ke JhagDe MiTae Jate Hain in PDF.