Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai

raaz jo sina-e-fitrat mein nihan hota hai

sab se pahle dil-e-shair pe ayan hota hai

saKHt KHun-rez jab aashob-e-jahan hota hai

nahin malum ye insan kahan hota hai

jab koi hadsa-e-kaun-o-makan hota hai

zarra zarra meri jaanib nigran hota hai

jo nazar-karda-e-sahab-nazran hota hai

usi diwane ke qadmon pe jahan hota hai

jab koi ishq mein barbaad-e-jahan hota hai

mujh ko mahsus KHud apna hi ziyan hota hai

mutazalzal hai adab-gah-e-mohabbat ki zamin

koi dekhe to ye hangama kahan hota hai

kahin aisa to nahin wo bhi ho koi aazar

tujh ko jis chiz pe rahat ka guman hota hai

dil ghani ho to har ek ranj bhi dil ki rahat

zehn muflis ho to har sud ziyan hota hai

imtihan-gah-e-mohabbat mein na rakkhe wo qadam

maut ke nam se jis ko KHafaqan hota hai

yahi wo manzil-e-dushwar hai jis manzil mein

KHatm har marhala-e-sud-o-ziyan hota hai

har qadam marka-e-karb-o-bala hai darpesh

har nafas saneha-e-marg-e-jawan hota hai

naz jis KHak-e-watan par tha mujhe aah 'jigar'

usi jannat pe jahannam ka guman hota hai

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Raaz Jo Sina-e-fitrat Mein Nihan Hota Hai in PDF.