Tabiat In Dinon Begana-e-gham Hoti Jati Hai

tabiat in dinon begana-e-gham hoti jati hai

mere hisse ki goya har KHushi kam hoti jati hai

sahar hone ko hai bedar shabnam hoti jati hai

KHushi minjumala-o-asbab-e-matam hoti jati hai

qayamat kya ye ai husn-e-do-alam hoti jati hai

ki mahfil to wahi hai dil-kashi kam hoti jati hai

wahi mai-KHana-o-sahba wahi saghar wahi shisha

magar aawaz-e-nosha-nosh maddham hoti jati hai

wahi hain shahid-o-saqi magar dil bujhta jata hai

wahi hai shama lekin raushni kam hoti jati hai

wahi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi

wahi dil hai magar aawaz maddham hoti jati hai

wahi hai zindagi lekin 'jigar' ye haal hai apna

ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai

(1305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tabiat In Dinon Begana-e-gham Hoti Jati Hai In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Tabiat In Dinon Begana-e-gham Hoti Jati Hai is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Tabiat In Dinon Begana-e-gham Hoti Jati Hai for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Tabiat In Dinon Begana-e-gham Hoti Jati Hai in PDF.