Tere Jamal-e-haqiqat Ki Tab Hi Na Hui

tere jamal-e-haqiqat ki tab hi na hui

hazar bar nigah ki magar kabhi na hui

teri KHushi se agar gham mein bhi KHushi na hui

wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui

kahan wo shoKH mulaqat KHud se bhi na hui

bas ek bar hui aur phir kabhi na hui

wo hum hain ahl-e-mohabbat ki jaan se dil se

bahut buKHar uThe aankh shabnami na hui

Thahar Thahar dil-e-betab pyar to kar lun

ab us ke baad mulaqat phir hui na hui

mere KHayal se bhi aah mujh ko buad raha

hazar tarah se chaha barabari na hui

hum apni rindi-o-taat pe KHak naz karen

qubul-e-hazrat-e-sultan hui hui na hui

koi baDhe na baDhe hum to jaan dete hain

phir aisi chashm-e-tawajjoh hui hui na hui

tamam harf-o-hikayat tamam dida-o-dil

is ehtimam pe bhi sharh-e-ashiqi na hui

fasurda-KHatiri-e-ishq ai maaz-allah

KHayal-e-yar se bhi kuchh shaguftagi na hui

teri nigah-e-karam ko bhi aazma dekha

aziyyaton mein na honi thi kuchh kami na hui

kisi ki mast-nigahi ne hath tham liya

sharik-e-haal jahan meri be-KHudi na hui

saba ye un se hamara payam kah dena

gae ho jab se yahan subh o sham hi na hui

wo kuchh sahi na sahi phir bhi zahid-e-nadan

baDe-baDon se mohabbat mein kafiri na hui

idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi

ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui

KHayal-e-yar salamat tujhe KHuda rakkhe

tere baghair kabhi ghar mein raushni na hui

gae the hum bhi 'jigar' jalwa-gah-e-jaanan mein

wo puchhte hi rahe hum se baat bhi na hui

(1449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Jamal-e-haqiqat Ki Tab Hi Na Hui In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Tere Jamal-e-haqiqat Ki Tab Hi Na Hui is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Tere Jamal-e-haqiqat Ki Tab Hi Na Hui for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Tere Jamal-e-haqiqat Ki Tab Hi Na Hui in PDF.