Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga

tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga

sada-e-saz hogi aur na saz-e-be-sada hoga

hamein malum hai hum se suno mahshar mein kya hoga

sab us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga

sar-e-mahshar hum aise aasiyon ka aur kya hoga

dar-e-jannat na wa hoga dar-e-rahmat to wa hoga

jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga

ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga

azal ho ya abad donon asir-e-zulf-e-hazrat hain

jidhar nazren uThaoge yahi ek silsila hoga

ye nisbat ishq ki be-rang lae rah nahin sakti

jo mahbub-e-KHuda ka hai wo mahbub-e-KHuda hoga

isi ummid par hum taliban-e-dard jite hain

KHosha dard de ki tera aur dard-e-la-dawa hoga

nigah-e-qahr par bhi jaan-o-dil sab khoe baiTha hai

nigah-e-mehr aashiq par agar hogi to kya hoga

siyana bhej dega hum ko mahshar se jahannam mein

magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga

samajhta kya hai tu diwangan-e-ishq ko zahid

ye ho jaenge jis jaanib usi jaanib KHuda hoga

'jigar' ka hath hoga hashr mein aur daman-e-hazrat

shikayat ho ki shikwa jo bhi hoga barmala hoga

(1597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga in PDF.