Uski Nazron Mein IntiKHab Hua

us ki nazron mein intiKHab hua

dil ajab husn se KHarab hua

ishq ka sehr kaamyab hua

main tera tu mera jawab hua

har nafas mauj-e-iztirab hua

zindagi kya hui azab hua

jazba-e-shauq kaamyab hua

aaj mujh se unhen hijab hua

main banun kis liye na mast-e-sharab

kyun mujassam koi shabab hua

nigah-e-naz le KHabar warna

dard mahbub-e-iztirab hua

meri barbaadiyan durust magar

tu bata kya tujhe sawab hua

ain qurbat bhi ain furqat bhi

hae wo qatra jo habab hua

mastiyan har taraf hain aawara

kaun ghaarat-gar-e-sharab hua

dil ko chhuna na ai nasim-e-karam

ab ye dil rau-kash-e-habab hua

ishq-e-be-imtiyaz ke hathon

husn KHud bhi shikast-yab hua

jab wo aae to pesh-tar sab se

meri aankhon ko izn-e-KHwab hua

dil ki har chiz jagmaga uTThi

aaj shayad wo be-naqab hua

daur-e-hangama-e-nashat na puchh

ab wo sab kuchh KHayal o KHwab hua

tu ne jis ashk par nazar Dali

josh kha kar wahi sharab hua

sitam-e-KHas-e-yar ki hai qasam

karam-e-yar be-hisab hua

(1143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Nazron Mein IntiKHab Hua In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Uski Nazron Mein IntiKHab Hua is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Uski Nazron Mein IntiKHab Hua for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Uski Nazron Mein IntiKHab Hua in PDF.