Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana

wo ada-e-dilbari ho ki nawa-e-ashiqana

jo dilon ko fath kar le wahi fateh-e-zamana

ye tera jamal-e-kaamil ye shabab ka zamana

dil-e-dushmanan salamat dil-e-dostan nishana

kabhi husn ki tabiat na badal saka zamana

wahi naz-e-be-niyazi wahi shan-e-KHusrawana

main hun us maqam par ab ki firaq o wasl kaise

mera ishq bhi kahani tera husn bhi fasana

meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare

meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana

tere ishq ki karamat ye agar nahin to kya hai

kabhi be-adab na guzra mere pas se zamana

teri duri o huzuri ka ye hai ajib aalam

abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasana

mere ham-safir bulbul mera tera sath hi kya

main zamir-e-dasht-o-dariya tu asir-e-ashiyana

main wo saf hi na kah dun jo hai farq mujh mein tujh mein

tera dard dard-e-tanha mera gham gham-e-zamana

tere dil ke TuTne par hai kisi ko naz kya kya

tujhe ai 'jigar' mubarak ye shikast-e-fatehana

(2544) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Wo Ada-e-dilbari Ho Ki Nawa-e-ashiqana in PDF.