Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya

yaadash-ba-KHair jab wo tasawwur mein aa gaya

sher o shabab o husn ka dariya baha gaya

jab ishq apne markaz-e-asli pe aa gaya

KHud ban gaya hasin do aalam pe chha gaya

jo dil ka raaz tha use kuchh dil hi pa gaya

wo kar sake bayan na hamin se kaha gaya

naseh fasana apna hansi mein uDa gaya

KHush-fikr tha ki saf ye pahlu bacha gaya

apna zamana aap banate hain ahl-e-dil

hum wo nahin ki jin ko zamana bana gaya

dil ban gaya nigah nigah ban gai zaban

aaj ek sukut-e-shauq qayamat hi Dha gaya

mera kamal-e-sher bas itna hai ai 'jigar'

wo mujh pe chha gae main zamane pe chha gaya

(1522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Yaadash-ba-KHair Jab Wo Tasawwur Mein Aa Gaya in PDF.