Kaif-e-junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe

kaif-e-junun sahi yahi haalat bani rahe

lillah meri un ki mohabbat bani rahe

jo ho gaya so ho gaya ab us ko chhoDiye

yun kijiye ki ishq ki azmat bani rahe

mere gunah hazar sahi sau ki ek baat

ye hai ki dil mein aap ki rahmat bani rahe

ai dost tere milne ki surat nahin sahi

kuchh tere kaam aane ki taqat bani rahe

didar ke KHayal ki jurat nahin mujhe

dar ko salam karne ki aadat bani rahe

ai ishq tu ne KHub kiya bagh bagh dil

ta-umr in gulon ki ye nikhat bani rahe

wo aa gae hain KHud hi meri zindagi mein ab

aankhon mein is yaqin ki jalwat bani rahe

har su ayan bahisht har ek gam par iram

har lamha wasl hai ye aqidat bani rahe

ya-rab main kar gaya hun kuchh aisi hi ek KHata

yun kijiyo ki dahr mein izzat bani rahe

'rahbar' hum un se kahte hain hum par jafa karen

un ko duaen dene ki aadat bani rahe

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaif-e-junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Kaif-e-junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Kaif-e-junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Kaif-e-junun Sahi Yahi Haalat Bani Rahe in PDF.