Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain

kahin se ghair jo pahlu mein aae baiThe hain

isi liye wo hamein yun bhulae baiThe hain

zara samajh ke karo hum se apne gham ka bayan

hum ek umr ke sadme uThae baiThe hain

kabhi KHayal mein apne mujhe nahin lae

wo muddaton se mere dil mein aae baiThe hain

kahan se loge wo surat wo kam-sini ka jamal

hum apne gosha-e-dil mein chhupae baiThe hain

KHuda ka shukr hai un ko KHayal to aaya

ki wo kisi ki nazar mein samae baiThe hain

dhara hi kya hai mohabbat mein be-kasi ke siwa

hum apne aap muqaddar banae baiThe hain

nigah-e-naz ke talib hain rahguzar mein teri

isi firaq mein dhuni ramae baiThe hain

kisi ko dekh liya tha kahin pe nadan ne

tabhi se KHud ko ye hazrat lubhae baiThe hain

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Kahin Se Ghair Jo Pahlu Mein Aae BaiThe Hain in PDF.