Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta

tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta

to dil bhi shaki-e-tazir-e-KHanjar ho nahin sakta

main tark-e-baada-noshi ke liye muddat se koshan hun

magar ye kaam pura qabl-e-mahshar ho nahin sakta

bula kar baat puchhen ru-ba-ru apne to ro dena

dalael ka asar kuchh is se behtar ho nahin sakta

shikayat tujh se kya saqi ki hai taKHir ka aadi

sitam duniya mein lekin is se baDh kar ho nahin sakta

sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intiha kar dun

magar mujh ko wo yusuf ab mayassar ho nahin sakta

pilae ja ki main madhosh ho jaun to tu mane

ki mai-noshi mein koi mujh se baDh kar ho nahin sakta

suKHan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona

mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta

hunar-mandon ki har majlis se ye aawaz aati hai

ki nadan ka koi duniya mein 'rahbar' ho nahin sakta

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Tujhe Gar Pas-e-ghairat Ai Sitamgar Ho Nahin Sakta in PDF.