Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai

apne mein jo ab bhule se kabhi rahat ka taqaza pata hai

haalat pe mere kar ke nazar dil mujh se bahut sharmata hai

uljhan mein yakayak hoti hai dam rukta hai dil bhar aata hai

jab koi tasalli deta hai kuchh aur bhi ji ghabraata hai

aaram sarakne wala hai kis shai pe ye gharra hai tujh ko

duniya ye badalne wali hai kis chiz pe tu itraata hai

elan sahar ko hota hai yun husn ki shahanshahi ka

gardun pe sunahra ek parcham mashriq ki taraf lahraata hai

andaz-o-ada se ai duniya tu lakh sanwar kar samne aa

ye 'josh' faqir aazad-manash jab dhyan mein tujh ko lata hai

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Apne Mein Jo Ab Bhule Se Kabhi Rahat Ka Taqaza Pata Hai in PDF.