Dil-e-azada-rau Mein Wo Tamanna Thi Bayaban Ki

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

qadam rakhte hi shaq hone lagi diwar zindan ki

KHuda ki rahmaten ai mutrib-e-rangin-nawa tujh par

ki har kanTe mein tu ne ruh dauDa di gulistan ki

ye sabit kar diya tujh ko bana kar dast-e-qudrat ne

ki ho sakti hain itni KHubiyan surat mein insan ki

nasim-e-subh ThanDi sans bharti hai mazaron par

udasi munh-andhere dekhiye gor-e-ghariban ki

ye aalam kya hai ek majmua hai nachiz zarron ka

ye duniya kya hai ek tarkib ajza-e-pareshan ki

hawaon ke wo jhonke wo khule maidan ki sardi

wo lahren chand se ruKHsar par zulf-e-pareshan ki

hamari zindagi kya silsila ek dil dhaDakne ka

hamari maut kya jumbish hai ek jazbaat-e-pinhan ki

bana dengi yaqin hai 'josh' mard-e-ba-KHuda ek din

tapish-andoziyan sine mein barq-e-soz-e-pinhan ki

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-azada-rau Mein Wo Tamanna Thi Bayaban Ki In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Dil-e-azada-rau Mein Wo Tamanna Thi Bayaban Ki is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Dil-e-azada-rau Mein Wo Tamanna Thi Bayaban Ki for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Dil-e-azada-rau Mein Wo Tamanna Thi Bayaban Ki in PDF.