Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye

ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye

kasa-e-dil le ke phir daryuza-e-gham kijiye

gunjta tha jis se koh-e-be-sutun o dasht-e-najd

gosh-e-jaan ko phir unhin nalon ka mahram kijiye

husn-e-be-parwa ko de kar dawat-e-lutf-o-karam

ishq ke zer-e-nagin phir har do aalam kijiye

daur-e-peshin ki tarah phir Daliye sine mein zaKHm

zaKHm ki lazzat se phir tayyar marham kijiye

subh se ta sham rahiye qissa-e-ariz mein gum

sham se ta subh zikr-e-zulf-e-barham kijiye

din ke hangamon ko kijiye dil ke sannaTe mein gharq

raat ki KHamoshiyon ko waqf-e-matam kijiye

daimi aalam ka KHugar bana kar ruh ko

na-gahani hadson ki gardanen KHam kijiye

ghaiz ki dauDi hui hai lahar si asnam mein

'josh' ab ahl-e-haram se dosti kam kijiye

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Ji Mein Aata Hai Ki Phir Mizhgan Ko Barham Kijiye in PDF.