Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye

meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye

phir nigah-e-ghaur se qanun-e-qudrat dekhiye

sair-e-mahtab-o-kawakib se tabassum ta-bake

ro rahi hai wo kisi ki sham-e-turbat dekhiye

aap ek jalwa sarasar main sarapa ek nazar

apni hajat dekhiye meri zarurat dekhiye

apne saman-e-tayyush se agar fursat mile

bekason ka bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye

muskura kar is tarah aaya na kije samne

kis qadar kamzor hun main meri surat dekhiye

aap ko laya hun viranon mein ibrat ke liye

hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye

sirf itne ke liye aankhen hamein baKHshi gain

dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

maut bhi aai to chehre par tabassum hi raha

zabt par hai kis qadar hum ko bhi qudrat dekhiye

ye bhi koi baat hai har waqt daulat ka KHayal

aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye

phuT niklega jabin se ek chashma husn ka

subh uTh kar KHanda-e-saman-e-qudrat dekhiye

rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-mah

wah kya ashaar hain diwan-e-fitrat dekhiye

is se baDh kar aur ibrat ka sabaq mumkin nahin

jo nashat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye

thi KHata un ki magar jab aa gae wo samne

jhuk gain meri hi aankhen rasm-e-ulfat dekhiye

KHush-numa ya bad-numa ho dahr ki har chiz mein

'josh' ki taKHil kahti hai ki nudrat dekhiye

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye in PDF.