Qadam Insan Ka Rah-e-dahr Mein Tharra Hi Jata Hai

qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai

chale kitna hi koi bach ke Thokar kha hi jata hai

nazar ho KHwah kitni hi haqaeq-ashna phir bhi

hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai

KHilaf-e-maslahat main bhi samajhta hun magar naseh

wo aate hain to chehre par taghayyur aa hi jata hai

hawaen zor kitna hi lagaen aandhiyan ban kar

magar jo ghir ke aata hai wo baadal chha hi jata hai

shikayat kyun ise kahte ho ye fitrat hai insan ki

musibat mein KHayal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai

shagufon par bhi aati hain balaen yun to kahne ko

magar jo phul ban jata hai wo kumhla hi jata hai

samajhti hain maal-e-gul magar kya zor-e-fitrat hai

sahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai

(987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Insan Ka Rah-e-dahr Mein Tharra Hi Jata Hai In English By Famous Poet Josh Malihabadi. Qadam Insan Ka Rah-e-dahr Mein Tharra Hi Jata Hai is written by Josh Malihabadi. Read famous Poem Qadam Insan Ka Rah-e-dahr Mein Tharra Hi Jata Hai for youth and Student by Josh Malihabadi. Free Download Qadam Insan Ka Rah-e-dahr Mein Tharra Hi Jata Hai in PDF.