Badli Ka Chand
KHurshid wo dekho Dub gaya zulmat ka nishan lahrane laga
mahtab wo halke baadal se chandi ke waraq barsane laga
wo sanwle-pan par maidan ke halki si sabahat dauD chali
thoDa sa ubhar kar baadal se wo chand jabin jhalkane laga
lo phir wo ghaTaen chaak huin zulmat ka qadam tharrane laga
baadal mein chhupa to khol diye baadal mein dariche hire ke
gardun pe jo aaya to gardun dariya ki tarah lahrane laga
simTi jo ghaTa tariki mein chandi ke safine le ke chala
sanki jo hawa to baadal ke girdab mein ghote khane laga
ghurfon se jo jhanka gardun ke amwaj ki nabzen tez huin
halqon mein jo dauDa baadal ke kohsar ka sar chakrane laga
parda jo uThaya baadal ka dariya pe tabassum dauD gaya
chilman jo girai badli ki maidan ka dil ghabrane laga
ubhra to tajalli dauD gai Duba to falak be-nur hua
uljha to siyahi dauDa di suljha to ziya barsane lage
kya kawish-e-nur-o-zulmat hai kya qaid hai kya aazadi hai
insan ki taDapti fitrat ka mafhum samajh mein aane laga
(4891) Peoples Rate This