Nazar Nazar Se Milao Hijab Kya Mani

nazar nazar se milao hijab kya mani

niyaz-e-ishq se ye ijtinab kya mani

chunenge ek mujhi ko wo har sitam ke liye

KHata kare nazar-e-intiKHab kya mani

gharaz hi kya thi tamasha-e-dahr se tum ko

ab aae ho to ye ruKH par naqab kya mani

waqar-e-mehr-o-wafa ko to sar-nigun na karo

har ek sawal ka ulTa jawab kya mani

meri nazar hi se ye ehtiyat hai warna

naqab ke liye band-e-naqab kya mani

had-e-shumar se bahar hain jab gunah mere

hisab ke liye yun be-hisab kya mani

sukun-e-dil to jahan mein kahin nahin ai 'josh'

phir is sukun ke liye iztirab kya mani

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Nazar Se Milao Hijab Kya Mani In English By Famous Poet Josh Malsiani. Nazar Nazar Se Milao Hijab Kya Mani is written by Josh Malsiani. Read famous Poem Nazar Nazar Se Milao Hijab Kya Mani for youth and Student by Josh Malsiani. Free Download Nazar Nazar Se Milao Hijab Kya Mani in PDF.