In Ne Pahle-hi-pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke Din

in ne pahle-hi-pahal pi hai sharab aaj ke din

bolo dil khol kar ai chang-o-rubab aaj ke din

ai ajal ja-e-tarahhum hai ki ye aashiq-e-zar

kucha-e-yar mein hai pa-e-turab aaj ke din

yar bad-mast hua sab pe chhiDakta hai sharab

tah kar ai waiz-e-shahr apni kitab aaj ke din

roz-e-nau-roz hai milte hain sabhi aapas mein

koi karta hai kisi par bhi itab aaj ke din

id-e-qurban hai butan kyun nahin sargarm-e-jafa

qatl-e-ushshaq samajhte hain sawab aaj ke din

dur daur-e-lab-e-jaanan hai ajab kya 'joshish'

mai-kade shahr ke howe jo KHarab aaj ke din

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Ne Pahle-hi-pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke Din In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. In Ne Pahle-hi-pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke Din is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem In Ne Pahle-hi-pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke Din for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download In Ne Pahle-hi-pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke Din in PDF.